22/March/2025 And 21/April/2025
Around Not Remember But 12:35 AM 😅
Qadr
Qadr karlo rahte Meri Jaan Meri,
Warna ye nazuk si rishto ki doori toot jaayegi..
Abhi bahot batiyatein hain hum ek doosre se
Kuch pal me ye ek kahani banke pichhey chhoot jayegi..
Aur har koi Qadr nahi karta apne kareebi ki
Kitni takleef hoti hai kisi ko chhod jaane ki
Ye baat bhi unke jaane ke baad he samajh aayegi,
Qadr kar meri mujhse lada na kar,
Chhoti chhoti baato se yun dara na kar..
Naa Jaunga kabhi chhod kar tujhe
Is baat par meri jaan fakr kar
Jaise karta hoo teri Qadr main
Meri jaan tu bhi thodi Qadr kar,
Lehza dekh aur narmi laa
Shareer me thodi garmi laa
Mehsoos kar bitaaye har pal ko
Taki rona na padey, meri jaan kal ko,
In lamho ki he to Qadr hoti hai
Jinhe yaad kar hum muskurate hai,
Waqt kabhi nahi badalta meri jaan
Waqt ke sath log badal jaate hain,
Chahatein khatm kar zindagi aasan bana
Na khushio ko meri tu shamshaan bana,
Ro-un main teri khatir itna to sabr kar
Meri jaan jaise karta hoo main teri Qadr
Thodi tu bhi to meri Qadr kar...
Pachhtawa chhod beetein palo ko bhula ke
Mujhko tu apni god me sula ke
Chhed mere balo ko koi guftgu kar
Mar jau in bahon me itna mujhe sabr aajaye
Jaise karta hoon main teri Qadr
Tujhe bhi meri karni utni Qadr aajaye,
Kaise meri jaan apne haatho ko hata rahi ho
Jo na batani thi baatein aaj wo bhi bata rahi ho
Lagta hai aaj tunhe thoda pyaar aa raha hai
Ya kahi mujhe chhod jaane ka plan bana rahi ho,
Chhod dogi bhi meri jaan to kya he harz hai
Yahi to akhir me har ladki ka farz hai
Ab mujhe bhala kaha tumhari in baaton se garz hai
Raho jaha kush raho bas mujhe tumhari Qadr hai,
Mujhe yun apni god se na hattao
Main to marna chahta tha in bahon ki aagosh me
Tumne hataya tab aaya hoon main hosh me
Kitne kadwe alfaaz ho gaye hain tumhare
Jinhe sunke ho gaya hoon khamosh main,
Aaj to lagta hai tum bhi mujhpe hath uthaogi
Ab main bhi samajh chuka hoo aur khudko samjha chuka hoon
Jaise main karta hoon tumhari Qadr
Tum meri jaan kabhi nahi kar paogi...,
Ye aanshu na baha ye kitne keemti hain
Tu samajh mere Jazbaton ko
Hamare in halaton ko
Yun chhod ke jayegi to kaise rahunga
Main karta hoon teri Qadr bahot ye sabse kaise kahunga...
Chal chhod ab Ajay kya bole itna he samajh le
Meri khushio ka na sahi mere ghumo ko to samajh le
Chhod de rakeeb ka hath thaam le mera
Kya bigad jayega aakhir tera
Yun kyu jalati hai gairon ki bahaon me jaake,
Kuch nahi bachega wapas aake,
Maan jaa meri jaan kya kar rahi hai
Samajh khudko kya sahi kar rahi hai
Chhod Ajay ki baatein na bahane bana
Main rooth jau tujhse kya payegi mana,
Khudko aaram de aur thoda sabr kar
Meri Jaan jaise karta hoon main teri Qadr
Tu bhi thodi meri Qadr kar
Tu bhi thodi meri Qadr Kar..🥺
Written By :- @ajaykasanaofficial.com
Follow :- @kasana_writes
Read Some BOMB Here...⬇️
1. Teri Sadgi 🌸
2. Humraz 🤫
Comments
Post a Comment