Puraani Tasveerein
06/02/2024 To 14/03/2025 Around 11:43 PM
Jab Main Apni Purani Tasveeron Ko Dekhta Hoo To....
Mujhe apney beetey huwe wo pal yaad aate hain kaise bhala main us daur se guzar aaya wo saari purani baato jo mujhe accha aur bura mehsoos karati thin aaj wo main mehsoos kar pa raha hoo..
Un tasveeron ko dekh ke mujhe ahsas hota hai ki na main us waqt kuch kar paya na abhi kuch kar paa raha hoo bahot taleef ho rahi hai ki kya kiya jaaye aur kaise shuru kiya jaaye..
khali baithne se kya hoga aakhir bhala koi kabtak khali baith sakta hai cheezo ka experience hona bahot jaruri hai, haan par, Badlaw to aayein hai beshaq thode he sahi.. Mera nazariya badla hai aur main khud bhi badal gaya hoon main jab jab apni purani tasveeron ko dekhta hoo to apni khamio ko yaad karke bahot pachhtata hoon,
Aisa nahi hai ki wo khamiya khatm ho gayi hai aur na hongi bhala wo kaha khatm hongi ulta he badh aur gayi hai manta hoo ki maine he shayad dhyaan nahi diya par kuch khamiya sah bhi loo par har cheez khami ho to kaise bhala sahi jayengi..?
Main bahot kamzor samjhta hoo khudko jab jab mere samne meri purani tasveerein nazar aati hai to khudko dekh ke sirf us pal ko ahsas karke main bahot kuch likh sakta aur koshta hoon khudko ki main kya se kya ho gaya is zamane me rahke,
Aur main kaisa dikhta hoo aur kaisa hoo me thoda nahi bahot fark hai meri aatma matlab meri andar ki kuch ankahi aur bayan na karne wali baatein jo main shayad he kisi ko bata paau...,
haan magar main sab kuch bata dunga ek din apni maut se pahle kunki mera manna hai ki apki zindagi me ek shaqsh aisa jarur hona chahiye jise aap sabkuch bata sako aur main acche se janta hoo wo saqs kon hai magar main yaha bhi us cheez ka zikr nahi karunga...
maanta hoo jo hoga use main bata bhi du ki tu he hai, phir bhi wo nahi manega main ye bhi janta hoo par mera to yahi manna hai ki tum maano na maano mera kiya hua wo har kaam jo tumne suna ha dekha wo sab pahle se he planned hai iska matlab ye nahi ki main bhagwan ho gaya..,
Mujhe andaza lagane ka shauk hai par wo andaza bhi to thik nikal jaata hai bahot sochne wali baatein hai jo shayad he koi dhyaan deta hai deta bhi hoga to bhala wo kuch aur cheez ke liye,
Apne liye socho taaki kuch ho sake, aur ye matt socho ki ye baatein purani photo se lekar kaha agaya ye sab baatein usi se related hai kyunki mera mehsoos hona main kuch bhi mehsoos kar sakta hoo,
Wo bhi jo mere sath hua hai, aur wo bhi jo kisi aur ke sath hua hai log bas kah dete hai ki tum kaha samjhogey,
Haan maine dekha hai khudko pahle main aisa tha he nahi, ab sirf chahat hai har wo cheez paane ki jiski shayad mujhe jarurat to nhi bas khuwaish hai to chahiye bas aur main wo ek din jarur hasil karke rahunga..
main beshaq nahi manta uparwale ko magar usi ne mujhe banaya hai aur wo mujhe achhe se janta hai ki main bhala kaisa hoo main chahunga ki ek din wo ya to meri khamio ko door kar dega ya mujhe mere pariwar se door kar dega..☺️
Wo din bhi ayega kunki pareshaniya koi tab tak he sahta hai jabtak khudki ho doosre ki bhi ajaye to chhod deta hai ya to khudko ya usko to main khamio ke sath to jee sakta hoo magar main nahi chhaunga ki koi mera kareebi mujhse pareshan ho ya use koi takleef ho mujhse..❤️
Main is cheez se door chala jaun pahle he to jyada achha rahega mere liye bhi aur sabke liye bhi,
Purani baatein bahot pareshan karti hai mehsos hona bahot bekar cheez hai kisi ko ahsas na ho to wo insaan accha hai,
Par main na doosri taraf manta hoo ki ek na ek din sabko ahsas jarur hota hai aur ye main daawe ke sath kah sakta hoon...,
It's definitely happend in our life... par kuch log gine chune hai ki wo chale jaate hai magar apna ghamand nahi todte wo hamesha ego me he rah jate hai aur aise logo ko log kabhi maaf bhi nahi karte,
Beshaq wo mar he kyu na gaya ho jeete ji kha gaye sabko jaate jaate bhi khayega kya
Itna kha gaya sabko andar se ab khudko dobara dharti par laa payega kya..?
Ye sab baatein purani tasveeron se relate he to kar raha hoon,
Kaise main badal gaya aur khudko bhi maine badal liya aaj na din wo hai aur na main wo hoon jo pahle hua karta tha, aaj bhi purani tasveere mujhe rula jaati hai,
Jab bahot si ankahi baatein mujhe yaad aatin hai, dheere dheere waqt ke sath main khuli kitab banta jaa raha hoon, par is kitaab ko padhne wala koi nahi...
Aur shayad kabhi koi padh paaye aise logo ke liye Ajay hamesha haazir hai jo mujhe jaane samjhe par,
Ant me sochta hoo ki tu he ku kon hai tu yaha aiso ko koi bhala ku janega kyu maanega tu bahot tere jaise bahot aur log to bas majak udana jaante hain na,
Kya karu in tasveero ka ab maine to inhe lena bhi chhod diya shakal acchi nahi bas thik hai bas karlere hain adjust aur bhi log hai duniya me sab khush to nahi,
Ek unme se main bhi sahi khushi ke na sahi dukh ke aanshu na baha,,
Tu hai Ajay khada jahan
Koi na pahuch saka wahan..❤️
Ye purani tasveerein kya karunga
Kya inhi ke sahare main zinda rahunga
Ahsas dilati rahengi har dard ka kaise sahunga
Koi nahi hoga meri zindagi me to,
apne Dil ki baat main inse he to kahunga..❤️
Hey ! This Is @kasana_writes How Are You Guys..❤️
Comments
Post a Comment