My Death Funeral
20/21/25/ Jan 2025 Around 11:47 PM
18/03/2025 1:25 AM
26/03/2025 12:45 AM
23/05/2025 7:53 PM
25/05/2025 8:11 PM
12/06/2025 12:22 AM
Hmm, Takreeban 6 Mahine He Laga Diye Likhne Me Iccha Nahi Thi Ki Khud Ki He Maut Ke Baarein Me Sochu Par Ab Socha Hai To Karna Bhi Hai So...😅
Thinking About Process Of My Death Funeral,
Ise Hum Sab Khudko Rakh Ke Padh Sakte Hain, I Assume That Ki Yahi Same Process Sabke Sath Ho Aur Thoda Sa Dekha Jaaye To Kuch Thoda Bahot Change Ho Sakta Hai,
Topic :- Arthi : Ek Antim Jhoola / Yaatra
Kya Hua ? Sab Ro Kyun Rahe Ho Bhai, Papa Ko Kya Hua..Ye Chup Kyun Hain Bhai,
Tu Kyu Ro Raha Hai Main To Abhi Yahi Hoon Na,
Bhai Tum Sabko Kya Ho Gaya Hai ?
Sabko Phone Kyun Mila Rahe Ho..?
PAPA Sambhalo Na Khudko Tum Mera Aakhiri Jhula Kab Laa Rahe Ho ?
Mujhe Apne Hath Se Jhulaoge Na
Ab Bhi Apna Raja Beta Kahke Bulaoge Na,
Main Bas Mara He To Hoon, Papa
Mujhe Bhool To Nahi Jaoge Na,
Papa Aise Himmat Na Haro
Baaki Sab Bhi To Ro Rahe Hain Inko To Sambhalo,
Khayal Rakho Khudka Aur Sabka
Aapka Beta To Mar He Chuka Tha Kabka
Ab To Bas Aatma Shareer Ka Tyaag Kar Rahi Hai
Meri Bhala Ab Kisko Fikr Pad Hahi Hai
Papa Meri Jaan Kya Hua
Ek Beta He To Kam Hua Hai
Ek To Abhi Zinda Hai,
Nahi Sambhal Paaya Main Khudko
Iske Liye Mera Zameer Bahot Sharminda Hai,
Mere Liye Papa Cheez To Laoge Na
Jaise Pahle Laate The Apne Hath Se Khilaoge Na,
Dekho Na Aaj Akhiri Baar He To Khilana Hai
Naa Jaane Iske Baad Mujhe Konsi Duniya Me Jaana Hai,
Duniya Koi Si Bhi Ho Aapka Ahsas Rahe
Mere Marne Ke Baad Bhi
Mere Baap Ka Saya Mere Pass Rahe,
Papa Ab Baithey Kyun Ho Jao Na
Mera Antim Jhoola Lao Na,
Aise Der Na Karo Shareer Sadd Raha Hai
Bete Ko Khone Ka Ye Kaisa Dukh
Tumhare Sar Padd Raha Hai,
Papa Tumhe To Pata He Nahi Meri Pasandida Cheez Shayad Hum Kabhi Baat He Nahi Kar Paaye
Mujhe Pasand Hai Aapke Hath Ka Khana
Ek Akhiri Baar Apne Hath Se Jarur Khilana,
Papa, Bhai Kya Kar Raha Hai Ye Kyu Itna Ro Raha Hai,
Ab To Sab Iska He Hai, Main Hota To Bhi De Deta,
Kya Sachme Bhai Ko Khone Ka Dukh Hai,
Bhai Kursiyaan Kyu Laga Raha Hai Sabke Liye Koi Khushi Ki Baat Hai Kya,
Ye Rishtedar Sab Jo Meri Maut Me Aayein Hai
Koi Nayi Baat Hai Kya,
Bhai, Papa Nahi Jaa Rahe Tu Paisey Le Aur Ja
Mera Antim Jhoola Le Aa
Ye Chaar Kadam Ki He To Doori Hai
Jaha Jaana Sabka Jaruri Hai...
Bahan, Kya Hua Tu Kyu Itna Pareshan Hai
Itna Royegi To Kaise Khud Ko Sambhal Payegi,
Kya Ab Bhi Tu Apne Bhai Ki Kalayi Par Rakhi Baandh Payegi,
Yun Humne Bahot Ladaiyan Ki Ek Doosre Se Boltey Bhi Nahi They Aaj Phir Bhi Saath Hai,
Tu Matt Ro Ek Bhai Nahi Raha To Kya Tera Doosra Bhai To Tere Pass Hai,
Bahan Tu Maa Ko Sambhal, Dekh Na Uski Tabiyat Na Bigadd Jaaye,
Bahot Sataya Hai Maine Usko Umr Bhar Bas Sata He To Paaya Hoon
Apni Maa Ke Liye Bhala Main Kaha Kuch Kar Paaya Hoon,
Doosri Bahan Kaha Hai Are Accha Apne Baccho Me Thodi Mashroof Hai Itna Ro Kyu Rahi Hai,
Teri To Khudki Bhi Zindagi Hai, Acche Se Rahio Yun Zindagi Kaha Jyada Din Ki Thi Meri Bas Samay Nahi Tha,
Tu Dekh Rishtedaro Ko Kahi Koi Baat Na Bigad Jaaye Mummy Ka To Ro Ro Ke Bura Haal Hai,
Kahde Na Bahan Maa Se Ki Abhi To Yahi Laash Bana Pada Tera Laal Hai,
Pareshan Na Ho Bhai Aata Hoga
Mera Jhoola Saath Me Laata Hoga,
Kahna Usse Thoda Paise Kharch Kare
Matka Mazboot Ho Chahe 100 Jagah Search Kare,
Akhiri Baar Bhi Agar Sochna Hai
Phir To Marne Ke Baad Bhi Khudko Koshna Hai,
Ye Aawaz Itni Badh Kyu Gayi,
Are Maa..!!
Accha Bhai Jhoola Le Aaya,
Maa Ye Tere Aankho Se Aanshu Kyu Aarahe Hai
Maa Dekh Na Tere Bete Ko Ye Log Kaha Le Jaare Hain,
Maa Ye Body Kyu Kah Rahe Hai Mujhe
Kya Ab Nahi Raha Main Tera Ajay,
Maa Sirf Aatma He To Nikli Hai
Shareer To Hai Na
Main Mar Gaya To Kya Mera Zameer To Haina,
Maa Ye 4 Log Mujhe Kyu Utha Rahe Hai
Maa Kuch Bol Na Ye Mujhe Kaha Le Jaa Rahe Hain,
Aaj Mere Liye Naye Kapde Aaye Hain
Jis Rang Se Nafrat Thi Wahi Laaye Hai,
Kaale Par Safed Jachta Kaha Hai
Marne Ke Baad Koi Hansta Kaha Hai,
Maa Mujhe Kyu Nahlaya Jaa Raha Hai
Tujhe Pata Hai Na Main Jyada Nahata Nahi,
Tere Bete Ko Bimario Ne Ghera Hai
Bol Na Maa Ye Laash Nahi Beta Mera Hai
Nahla Ke Mujhe Acche Se Lita Diya Gaya
Daal Kafan Shareer Par Sula Diya Gaya
Tej Tight Rassi Se Kash Ke Baandh Rahe Ho Sab
Sab Aa To Gaya Hai Ab Kiska Intezar Kar Rahe Ho Sab,
Thodi Mala Chadhao Thoda Phool Chadao Saza Do
Meri Yaad Mein He Sahi Band Baza Baja Do
Ye Aawaz Kyu Badh Gayi Sab Jor Jor Se Kyu Rone Lage Ho
Maa Ab Tu Bhi Bhala Kabtak Royegi
Kya Abhi Bhi Mera Intezar Karke He Soyegi,
Kahin Aajau Tere Pass Teri Yahi Aas Hai
Maa Chinta Na Tera Beta Marke Bhi Tere Pass Hai,
Papa, Aap Aage Kyu Aarahe Ho
Bhai, Tu Aage Kyu Aa Raha Hai
Accha Apno Ka Kandha Aage Hota Hai
Abhishek Ko Peeche Bhej Do Ye Bojh Kaha Utha Payega,
Dost Ki Lash Bhi Bhala Koi Uthata Hai Kya
Nahi Nibha Paaya Zindagi Bhar Ki Dosti Mujhe Maaf Kario,
Koi Rahe Na Rahe Tu Khoob Tarakki Kario,
Ye 4tha Kandha Kon Dega Aapas Me He Doge Ya Yaar Koi Aur Dega,
Kuch Kaam Se Wyasht Seedha Samshan Me He Aayenge,
Aise Log Marne Ke Baad Bhi Kaha Bhulaye Jayenge,
Inka Ashtitwa Mere Jaane Se Nahi Hai
Ye To Bas Khudko Accha Dikhane Ke Liye Ayenge....
Accha Papa Main Jaa Raha Hoo
Ye Duniya, Ye Desh, Ye Sahar, Ye Kasba, Mohalla Sab Chhoot Sa Raha Hai,
Pariwar Bhi Mera Ab Jaise Rooth Sa Raha Hai,
Koshish Karo Na Ki Sab Khush Rahe Papa
Ye Wajah Banakar Bewajah Na Pareshan Hoiye,
Accha Main Main Kah Raha Tha Ki Ye Lakdiya Taul Raha Hai,
Ise Dekh Mera Khoon Khaul Raha Hai,
Marne Ke Baad Bhi Koi Aise Lakdi Taul Ke Barabar Dega,
100 Kilo Kaafi Hai Yaa Shayad Kam Me He Kaam Ho Lega..
Accha Mujhe Utar Do Ab Is Jhooley Se Agayi Manzil Meri Jaha Mujhe Aana Tha
Lakh Koshish Ki Khudko Samjhane Ki
Par Aakhir Me Khud He Maan Jaana Tha,
Hey Shiv Teri Aprampar Sakhti Mujhe Yaha Le Aayi
Jawani Se Chahat Thi Meri,
Aaj Zindagi Us Modh Par Bhi Le Aayi..
Ye Jalte Murde Ye Udti Chita Ki Raakh
Kaise Mere Seene Me Samayi Hai,
Is Raakh Ke Kan Kan Me Milne Jaa Raha Hoo..
Dekh Lok Parlok Ke Data Main Tere Pass Aa Raha Hoon..,,
Apno Se Nata To Kabka Toot Gaya
Ek Bandhan Tha Wo Bhi Ab Jalne Ke Baad Toot Gaya..,
Papa Ye Khopdi Par Is Dande Se Kyun Mar Rahe Ho
Yaadein To Mitt He Jayengi Jahan Se Sabke
Marne Ke Baad Mujhe Kyu Tadpa Rahe Ho,
Kisi Ko Jaldi Hai Kahi Jaane Ki Thoda Karyakram Tej Chala Do
Nahi Jal Rahi Chita Meri Jaldi To Ghee Daal Kar Jala Do,
Ab Antim Mein Rooh Meri Sab Dekh Ke Ro Rahi Hai
Kisi Ko Pareshani Mujhse Kisi Kahi Jaane Ko Der Ho Rahi Hai,
Kaha Jaa Rahe Ho Sab Jara Muh Hath To Dholo
Papa Mere Kareeb Baitho Na Thodi Der Aur Rolo
Bhai Kaha Jaa Raha Hai Itni Jaldi
Papa Isse Thoda Ruk Jaye Ye To Bolo,
Kuch Raz Dabaye Honge Apne Sapno Ko Leke
Ab Main Nahi Raha Mere Raz To Kholo...
Ye Meri Kitabi Baatein Aur Meri Purani Soch,
Ab Sab Is Duniya Se Jaa Raha Hai
Asal Me Mera To Kuch Kabhi Tha He Nahi
Is Bejaan Se Shareer Ko Liye Main Dar Dar Bhatakta Raha Aur Sapno Ko Sanjota Raha Badle Me Mujhe Kuch Haasil Na Hua, Chhod Ke Jaa Raha Hoo To Bas Ek Mayushi Ek Nirasha Aur Dher Sari Yaadein Jo Ki Waqt Ke Sath Mitt Jayengi...🩷
Love You All...🌸
Written By = @ajaykasanaofficial
Follow :- @kasana_writes
Read Many BOMB Here...⏬️
2. हमराज़ 🙂
3. तेरी सादगी 🌸
4. पापा ♾️
5. मेरा इश्क 🩷
Thanks All To Read This...🌸
Comments
Post a Comment