Skip to main content

पापा ❤️

 



12:12 PM 15/January /2025 To 25/2/2025 Around 2.45 A:M


PAPA





Papa Kya Hua Naraz Se Lagtey Ho

Kya Hua Tabiyat Thik Nahi Hai Tumhari,


Ya Hamse Pareshan Lagtey Ho,

Maanta Hoo Main Abhi Tak Kuch Kar Paaya Nahi,


Tumhara Sahara Ban Paya Nahi,

Tumhare He Tukdo Par He To Pal Raha Hoon,

Khud Se Kuch Kar Paaya Nahi,


Tumhari Tabiyat Kharab Dekh Kuch Bol Bhi Paya Nahi,

Thanda Pad Gaya Main Zubaan Se Kuch Nikal Paaya He Nahi,


Tabiyat Kharab Hone Par Bhi Thik Hoon Main, Yahi Kahtey Ho,

Itna Dard Aakhir Hamare Liye Kyun Sahtey Ho,


Apne Sapne Bhula Kar Hamare Poore Karoge,

Kabtak Hamare Liye Itni Mehnat Karoge,


Papa Main Kahna Chahta Hoon Ki Kaam Chhod Do Ab,

Par Kuch Wajah Mujhe Rok Detin Hain,


Tumhare Liye Bhi Mere Bahot Sapne Hain,

Bas Tumhare Rahtey Un Sabhi Ko Poora Kardu Itni Si Zindagi Chahta Hoon,


Bolna Bahot Kuch Chahta Hoon Tumse Par Kaha Kuch Kah Paata Hoon,


Hath Pair Dekh Ke Tumhare Dil Saham Jaata Hai,

Dil Andar Se Bahot Rota Hai, Kaha Khudko Sambhal Paata Hai,


Tumhare Sath Guzara Har Lamha Yaad Rakhta Hoon,

Tumhari Khuwaishey Jaan Kar Bhi Kuch Nahi Kar Paa Raha Hoon,


Kya Karu Papa Kuch Nahi Kah Paa Raha Hoon,


Tumhari Tabiyat Kharab Hote He, Ghar Ke Halat Kharab Hotey Dekhein Hain,


Hum Kaha Sambhal Payenge Ghar Ko Sambhalne Wale Hum Kon Hotey Hai,


Apna Bachpana Tumne Bahot Dukh Se Kaata Hai,

Main Samajh To Sakta Hoo Par Har Koi Kaha Samajh Paata Hai,


Jawani Tumhari Kamane Me Nikal Gayi Khud Ke Liye Kaha Kuch Kar Paaye,


Pariwar Sambhalne Ke Liye Tum Dilli Bhaag Aaye,


Kiraye Se Utha Ke Ek Khoobsurat Aashiyane Me Paala Hai,

Tumse Badhkar Mere Liye Na Koi Upar Wala Hai,


Delhi Jaise Sahar Me Yun Kaha Koi Tik Pata Hai,

Tumne To Hamari Zindagi Ko Bahot Sawara Hai,


Khudki Khusiyaan Bhi To Tumne Gawa Di 

Hame Har Khushiyon Se Nawaza Hai,


Aaj Sochta Hoo Sab To Samajh Aata Hai Ek Kam Padha Likha Ladka Jo Thik Se Padh Bhi Nahi Paaya, 

Padhne Ki Chah Rakhne Wala Kaha Kuch Kar Paata Hai,


Sabka Bair Tumhe Andar Se Khaata Hai

Tumhara Zahan Sirf Apne Baccho Ke Liye Chup Rah Jaata Hai,


Papa Ab Hum Bade To Ho Gaye Par

Hum Kuch Kar Kaha Paaye Hai,


Jo Hai Sab Tumhara Hai, Hum Kaha Apnaa Paayein Hai,


Main Chahunga Tumhe Wo Har Khushi Dena Jo Maine Socha Hai,

Kaise Sah Lete Ho Itna Papa Mujhse Kyu Kuch Sahan Nahi Hota Hai,


Tumhari Baatein Mere Dil Me Hamesha Rahegi,

Tumhari Aankhein Mujhe Na Kahkar Bhi Bahot Kuch Kahengi,


Aaj Bhi Jab Dekhhta Hoo Kaam Pe Jaate Huye

Sochta Hoo Kyu Kaam Karte Ho Itna Kiski Liye Bhala

Raah Dekhta Hoo Tumhari Roz Aate Huye,


Ye Armaan Sare Me Mere Seene Me Dafan Na Rah Jaaye 

Meri Umar Bhi Papa Kash Tumko He Lag Jaaye,


Ye Zindagi Badi Bojhal Si Lagti Hai Papa

Naa Jaane Kaise Tumne 50 Saal Bita Diye

Main To 25 Me Bhi Khush Nahi 

Kuch Khuaishey Hai Jo Main Poora Karna Chahta Hoo 


Bahot Pyaar Hai Tumse Kaha Kah Paata Hoon,


Aakhir Hoon To Ladka He Kaha Bata Paata Hoo

Tumhare Aate He Tumhari Nazro Se Door Sa Ho Jaata Hoon,


Nazre Churane Ki Koshish Rahti Hai 

Par Kaha Chura Paata Hoon,


Ye Zindagi Ke Silsile Bahot Door Tak Ke Nahi Hai,

Khudko Dekhta Hoo To Sochta Hoon

Papa Tumhari Ye Aulad He Sahi Nahi Hai,


Khoob Padhaya Tumne Mujhe Main Yaha Tak Jo Aaya Hoon,

Kabhi Ban Paaya Agar Kuch To Sirf Tumhari Wajah Se He Ban Paaya Hoon,


Kabtak Saath Doge Kabhi To Daant Diya Karo

Ab Bachpana Nahi Raha Kah Kar Na Taal Diya Karo,


Zindagi Sikha Rahi Hai Baap Hone Ka Farz,

Kaise Chuka Paunga Papa Main Tumhara Karz,


Ek Ek Paisa Khoon Paseene Ka Hai Tumhare

Poore Kiya Tumne Sare Sapne Hamare,


Kis Ghadi Me Ye Bala Ayegi 

Jab Hamare Through Aapki Zindagi Safal Ho Payegi..


Dekh Ke Tumhe Mujhe Sukoon Aata Hai

Bahot Pyar Hai Papa Tumse Mujhe Kaha Kaha Jaata Hai...,



Love You Papa ❤️


Happy 51st Birthday Papa..❤️

Aur Shukriya Ye Haseen Si Zindagi Dene Ke Liye..❤️🎊




Written By = @ajaykasanaofficial


Follow = @kasana_writes





Comments

Popular posts from this blog

माफ़ी 🖤

  Maafee   | معافی 🖤 7th January Around 6:20 PM  Meri Khatao Ko Maaf Kar Ek Baar To Mujhse Baat Kar, Teri Galatiyaan Bhi To Jaanta Hoon Main  Pyar Karta Hoo Isliye Tera Jhooth Bhi Sach Maanta Hoon Main, Chhod Kar Khudki Burayi Mujhpe Ungli Na Utha  Jo Bhi Kami Hai Mujhme Mujhe Saaf Saaf Bata, Tu Meri Baat Maan Jayegi Ye Main Manta Nahi Aisa Bahot Kuch Hai Jo Main Tere Baare Me Jaanta Nahi, Chhupa Leti Hai Tu Mujhse Wo Baat  Jo Shayad Bigaad Sakte Hain Hum Dono Ke Haalaat,   Tu Chhod Na In Baaton Me Kya Rakha Hai Bhool Ja Jo Bhi Tune Mujhse Chhupa Rakha Hai, Bata Mujhe Jo Bhi Meri Gustakhi Ho Beshaq Uski Koi Saza Ho Ya Maafee Ho, Jab Tum Dekhti Ho Meri Kis Baat Ka Asar Hai Maine Bhi Tumhe Manane Mein Lagayi Bahot Kasar Hai, Maaf Kar To Du Tujhe Har Baar Ab Nahi Raha Tujhpe Aitbaar, Bharosa Toot Gaya Tujhpe Se Mera Barbad Kar Diya Mujhe Maine Kya Bigada Tha Tera Ek Baar Maafee He To Mangi Thi,  Aur Tu Jaanti To Hai Ki Mujhse Jaldi Gustaakhi Na...

25 साल 😌

 हाँ 25 Saal              Haan Aaj Mera Janmdin Hai Yahi Kuch 25 Saal Ho Gaye Mujhe Duniya Me Aaye Lagbhag 9132 Din, Aur Jeewan Ka Ek Hissa Guzar Gaya Main Apni Life Mein Kuch Nahi Kar Paaya Bahi Tak, Shayad Mujhe Bhi Intezar Hai Kisi Ka, Ya Shayad Main Karna Nahi Chahta, To Be Honest Main Sabko Saath Leke Chalne Walo Me Se Hoon, Shayad Yahi Meri Khaami Hai Isliye Main Peeche Rah Gaya Ya Kah Sakte Hain Main Apni Itni Umr Hone Ke Bawjood Kuch Kar Nahi Paaya,.. 25 Saal, Haan Ek Lamba Arsa Agar Peeche Mudke Dekhoo To Shayad Maine Bahot Kuch Kho Diya Apni Life Me, Ya Shayad Main Kuch Haasil He Nahi Kar Paaya, Mera Sabke Liye Hona He Shayad Meri Sabse Badi Kami Hai, Itne Saalo Me Main Shayad Abhi Bhi Yahi Sochta Hoon Ki Sabke Sath Accha Hona He Meri Khami Hai, Ya Kah Skate Hai Hai Ki Main He Sabko Apna Manta Hoon Par Mujhe Koi Apna Nahi, Main To Hamesha Se He Sabko Sath Leke Chalna Chahta Hoo Par Main Ye Manta Hoo Ki Ab Jab Main Dheere Dheere Apni Mau...

EK CHAHAT AISI BHI 😌

Ek Chahat Aisi Bhi..   Zulfon Ko Sawaroon Teri   Jab Aajaye Baari Meri, Tujhko apna to maan loon main Par tere baare me kuch jaan loon main. Pasand to hai tu mujhe Main Kaise batau ye tujhe, Hamara apas me koi bhed nahi Tum milo na milo mujhe koi khed nahi. Tumhe dekhna mujhe accha lagta hai  Par Meri Jaan Thoda Chhuppke He. Door door rahne ka maza hai  Ye bhi ek pyar ki he saza hai, Tujhe chahna mera bewajah hai  Uske liye bhi ek wajah hai. Tera hasna mujhe pasand hai Tera gussa mujhe gawara hai, Tu maar de mujhe pyaar se  Tera thappad bhi mujhe pyara hai... Tera yun sabse batiyana  Chhoti chhoti khushi me khush hojana, Tum samajhdar ho tumhe kya samjhana Har koi thik nahi hota bas itna maanjana.. Samjhauta Zindagi ka ek hissa hai Naa jaane kitno ka ye kissa hai, Andar andar ghutt ke marr jata hai  insaan kaha kisi ko kuch bata paata hai.. Kuch samay he to hua hai tumse mile mujhe Tumhe jaanne ke liye do samay mujhe Tumhe sabsa nahi aakna ha...