26/4/2025 Around 11:45 AM Topic :- Sarkari Naukri Ye Sarkari Naukri Bhi Na Sab Naujawano Ko Kha Jayegi, Bhagwan He Jaane Bhala Kiski Baari Kab Aayegi..., Subah Utha Kar Basta Padhne Door Ghar Se Kahin Jaata Hai, Ek Sapno Ka Mahal Bana Kar Ghar Ko Laut Aata Hai, Khuwaishey Bana Ek Sarkari Naukri Ki Subah Se Shaam Bas Padhta Jaata Hai Chhod Deta Hai Manoranjan Bhi Ek Sarkari Naukri Ke Liye Par Phir Bhi Kaha Selection Ho Pata Hai, Na Khane Ki Fikr Na Paani Ki Chinta Hai Apni He Baatein Jaise Khud He Binta Hai.. Kabhi To Meri Bhi Baari Aayegi Ya Ye Sarkari Naukri Mujhe Kha He Jayegi.. Umeed Laga Aashiyane Bana Kitabo Ko Kitabo Se Jod Sirane Bana, Kar Mukammal Neend Apni Kar Apna Naam Zamane Me Bana..., Mera Desh Itni Tarakki Kar Raha Hai EK Student He Doosre Student Se Lad Raha Hai, Dekhta Hai Khwab Sarkari Naukri Ke Sirf Sarkari Naukri Ke Liye He To Padh Raha Hai Chand Paiso Ki Baat Nahi Rishwat Bhi To Khaani Hai, Ek Sarkari Naukri Wala Ladka Chahi...
Hey ! This is Ajay Kasana, Aur Main Yaha Wo Likhta Hoon Jo Bhi Main Observe Karta Hoon Aur Sab Kuch Mujhe Bahot Prabhawit Karta Hai Umeed Hai Aise He Main Likhta Rahunga Aur Aap Jo Bhi Log Ise Padhengey Aapko Padhke Accha Ya Bura Lag Sakta Hai But Sabka Nazariya Alag Alag Hota Hai, Agar Aapko Accha Lagey To Aap Samjhey Ki Aap Ki Soch Shayad Mujhse Milti Hai Aur Agar Aapko Bura Lagey To Aap Samjhein Ki Shayad Aapka Nazariya Alag Hai, Har Cheez Ek Jaisi Nahi Hoti, Hope You Understand Guys...❤️