7 Jan 2025 Time 12:30
Ghabrahat..
Mere According To Mehsoos Hona He Ghabrahat Hai
Jab Hum Kisi Cheez Ko Gehrayi Se Mehsoos Karne Lagte Hain Aur Wo Assume Karne Lagte Hai Jo Cheez Hume Chahiye Par Uske Liye Kuch Kar Nahi Paa Rahe To Ghabrahat Hoti,
Bechaini Si Hoti Hai Dil Ghabraane Lagta Hai Bahot, Ab Kya Hua Is Dil Ko,
Chain Kyun Nahi Padta Jabtak Wo Cheez Dimaag Me Rahti Hai Aisa Lagta Hai Ki Ek Baar Ko Bina Kiye He Wo Sab Mil Jaaye,
Mehsoos Hota Hai To Raha Nahi Jaata,
Dil Dhadakna Chhod Sakta Hai Par Hum Sochna Nahi Chhod Sakte Hum ye jaante Hai Acchey Se,
Mehnat Karne Ke Baad Bhi Jab Insaan Wahi Khada Rah Jaata Hai Jaha Se Usne Shuru Kiya Ho, Aur
Aas Paas Ke Log Jo Uske Sath Ke The Wo Aage Badh Gaye To Use Ajeeb Si Ghabrahat Si Hoti Hai Ki Main He Kyun Rah Gaya,
Mujhse Kyun Kuch Nahi Ho Raha Main Kya Karu Aur Sochne Ke Siwa Khudko Pareshan Karne Ke Siwa Kuch Nahi Rah Jaata..
Mehsoos Karta Hoo Manta Hoo Sab Ki Issey Kuch Nahi Hoga,
Par Is Dil Ko Kaha Samjhaa Paunga Ki Wo Cheez Nahi Chahiye Ab,
Ab Bas Sukoon Chahiye, Jo Ki Mujhe Akele Rahne Par Milega Lekin Phir Wahi,
Ek Nakamyabi He Hume Us Ghabrahat Se Deedar Karati Hai,
Na Chahte Huye Bhi Hum Bahot Ghabratey Hai,
Read It Also :- Excuses
Hum Kya Kare Jab Anxiety Depression Panic Attacks Aate Hain To Chain Bhi Nahi Padta,
Paseene Se Halat Kharab Ho Jaati Hai Raato Ko Neend Tak Nahi Aati Chahey Lakh Sone Ki Koshish Karlo,
Ghar Ka Koi Dekh Le To Jee Aur Ghabrata Hai, Ki
Kahin Puch Na Lein Ki Kya Hua,
Aakhir Is Baat Ka Kya Jawab Dunga Ki Mujhe Kya Hua,
Mujhe Us Cheez Ki Ghabrahat Ho Rahi Hai Jo Hume Mili He Nahi Ya Us Cheez Ki Jise Hum Hasil Karna Chahte Hain Par Rasta Nahi Pata..
Aakhir Wo Raatsa Hume Batayega Kon
Samjhayega Kon, Bas Sab Maje He To Lete Hai,
Akele Me Anxiety Hogi To Sambhalega Kon,
Iska Jawab Hai :- Koi Nahi..%
Hum Bas Khudme He Ghut Ghut Ke Shayad Mar Jaayenge Par Dekhne Sunne Wala Koi Nahi,
Koi Kitna Bhi Sath Ho Koi Sath Nahi Hota Bas Kahne Ke Liye He Hai Ki Main Sath Hoon Aapke,
Asal Zindagi Me Koi Akhiri Tak Nahi Chal Paata Rarely Hota Hai Ki Koi Shuru Se Akhiri Tak Sath Ho,
Na Jaane Kitni Baar Unhone Ek Doosre Ko Maaf Karke Waha Tak Aaye Hain,
Aur Jab Koi Kareebi Tumhe Kuch Aisa Kahe Jo Aap Sunna Na Chahte Hon To Aapko Aur Ghabrahat Hoti Hai,
Akhir Wo Saqsh Jise Hum Itna Maantey They Usne Hume Aisa Kyu Kaha Bhala,
Ise Soch Soch Hum Aur Ghabratey Hai,
Jab Jab Ghabrahat Hoti Hai To Hath Paon Thandey Pad Jaate Hain Dil Me Ek Alag Si Chubhan Hoti Hai, Jaise Koi Sui Chubha Raha Ho,
Dard Sa Hota Hai Ki Sambhalo Mujhe Par Koi Hota He Nahi, Ghar Par Kisi Ko Nahi Bataya Jaa Sakta Hai,
Khudki Pareshanio Ko Jhelna Jo Ki Itni Jaruri Bhi Nahi Par Uske Liye Shayad Ghabrahat Hona Aam Baat Hai,
Koi Samjhaye Mujhe Kaise Is Cheez Se Chhutkara Paayein Jo Mujhe Itna Pareshan Karti Hai,
Ye Anxiety Mujhe Andar He Andar Kha Rahi Hai,
Chhoti Chhoti Baatein Bhi Ab Mujhe Sata Rahin Hain..🖤
Follow :- @kasana_writes
Comments
Post a Comment