30th / 31st January, Around 2:20 PM
Last In January At My Institute Thinking About Mindfullness..
Title :- Nazdikiyaan 🖤
Kareeb aakar tere jaana ye
dil accha tujhko maane ye,
Jee bhar ke tujhe kabhi dekha bhi nahi
Tu mere kareeb se guzar gayi na Samjha ye,
Sharm hai tere liye meri ankho me
Warna kaha maane meri aankhein ye..💕
Ek tujhe kareeb pana mujhe accha lagta hai
Apne Dil ko mujhe bahlana accha lagta hai,
Tere chehre ko dekh dil tham jata hai
Door jaati hai to ye kaha rah pata hai..🧿
Ye aankhein tujhe pal pal dekhti hai
Kahi se aajaye tu bas yahi sochti hai..🥹
Tera aana mere tassavur me nahi
Haqeeqat bana de meri zindagi ko
Tujhe paana mujhe mumkin to nahi..👫
Chup rahna tera mujhe pareshan kar raha hai
Kuch bol kya hua..?
mere dil khud ko bekarar kar raha hai..💔
Teri chuppi mujhe andar se khati hai
Jab teri khamoshi mujhe nazar aati hai,..🙃
Tere lafz jaise mujhe bula rahe ho
Par teri aawaz ka mera dil diwana hai
Tu bol kahi door mere kaan sunne jaa rahe ho..😍
Tera na aana mujhe pareshan kar raha hai
Jaise mere khwab tere sath pal bita rahe ho
Tu aaja kahi se ek baar in aankhon ke samne
Mere ankhon ke dono nain jaise Tujhe bula rahe ho,
Tu itni bechain kyu rehti hai mujhse
Mere Jazbaat Tujhse Ye Puchhna chah rahe ho,..🫠
Meri bhi kadr kar na thodi meri jaan
Jaise main teri kiya karta hoo ,
Par badle me maang lo kuch to kaha milta hai
Bus isi baat se dara karta hoo,😔
Jaanti hai tu tujhse door main nahi rah pata
Tere pass bhi main nahi rah paata
Tere pass aane se main darta hoo
Tujhe bhala main kaise face kar paata, 😟
Tu kabhi meri jaan jayegi to nahi
Mujhe aur tadpayegi to nahi,
Tera pass hona mujhe sukoon mehsoos karata hai
Ye dil tujhse door kaha rah pata hai,..💕
Baato ki gehrayi ko samajh
tujhe ye baat bhi samajh aayegi,
Ye Nazdikiyaan meri jaan
ek din tujhe bahot yaad ayengi
Nazdikiyaan he meri ghabrahat hai
Tere pass rahne ki meri ab chahat hai
Mujhse yun bin baat ki dooriyan na badha
nazdikiyaan pasand hai mujhe meri jaan
Bas tu nazdikiyaan badha...❤️
Written By :- @kasana_writes
Follow = @ajaykasanaofficial
Comments
Post a Comment