Ye wada Raha...
Zindagi Bhar Saath Nibhaunga
Ye Wada Raha
Pyar Tumse He Rahega Meri Jaan
Chahe Kam Ya Jyada Raha..😍
Chahat Bhari Mehfil Me
Tera Naam Lene Mein Sharmayenge Nahi
Koi husn ki pari bhi aajaye saamne to
Uske dikhawe me aayenge nahi..☝️
Teri har baat ko manunga main meri jaan
Accha ho ya bura sabko janunga main,
Sath to maut tak ka hai hamara
Ye tumse mera wada hai..🤝
Tum jaanti ho main kaisa hoon
Meri chahat me main tere jaisa hoon,
Maanta hoo tere liye main jyada khas nahi
Kya hua agar jyada kuch mere pass nahi,
Jaisa hoon waise he khush rakhunga na baba
Ye bhi to ek mera wada hai..😊
Tere liye main samay nikal lunga
Jo bhi halat ho main sambhal lunga,
Teri yaad ayegi to tujhko bata dunga
Bina bataye to jaan jaye aisi chahat ho meri..,
Muqammal isqh ki kahani na jism se
balki ruhani ho meri..🥰
Soch badal dunga teri main pyaar ke liye
Meri jaan ye wada raha is baat ke liye...🤝
Tu galat na samjhio mujhe bata raha hoo main
Jo Wada Kiya Tha tujhse nibha raha hoo main..😊
Shayad ye ek majboori ho
Jo karna bahot jaruri ho,
Main waade ka apne pakka hoon
Shayad tere liye ek sapna hoon...🙂
Jhoot manna achha nahi hai
Samjh jaya karo meri jaan hamara
Dimaag ab baccha nahi hai..🤪
Chhoti Si To Zindagi Hai Hamari
Har koi yaha sachha nahi hai..😒
Baatein samjho to bahot kuch bataunga
Jaha tak mujhse hoga main samjhaunga,
Tu chali jaa main nahi manaunga
Par main apna wada jarur nahibhaunga..❤️
Written By = Kasana_Writes
Follow =ajaykasanaofficial
Comments
Post a Comment