Ae Zindagi Kuch To Sikha... 19-09-2024 Shaam 7:00 Baje Mujhse kuch khata hui ho to bata mujhe Aye naadan zindagi kuch to sikha mujhe Dekh dekh logo ko unke jaisa banna Par copy kar kar ke maane mera mann na Kuch kar jaau zindagi me aisa bata mujhe Aye nadan zindagi aisa kuch to sikha mujhe Pareshan ho jaata hoo chhoti si pareshani se Kaise niklu inse bahar tu bata mujhe Yun to pareshaniya chhoti bhi nahi hoti Kaise samjhau khudko samjha mujhe Yun to mera khusi se rah pana mumkin nahi Jee saku acche se aisa bana mujhe Ae meri nadan zindagi kuch to sikha mujhe Seekh leta hoo chhoti chhoti baatein Yunhi raaste me aate jaate Samajhta hoo khudko aur samjha leta hoo Main he thodi is duniya me akela baitha hoon Par apna bhi zindagi me kuch mukaam hai Uska raasta tu dikha mujhe Ae zindagi kuch kar pau aisa kuch sikha mujhe.. Mehnat to karlunga main jitni bhi meri chhamta hai Milega to wahi mujhe jo meri kismat me banta hai Par sabki tarah na...
Hey ! This is Ajay Kasana, Aur Main Yaha Wo Likhta Hoon Jo Bhi Main Observe Karta Hoon Aur Sab Kuch Mujhe Bahot Prabhawit Karta Hai Umeed Hai Aise He Main Likhta Rahunga Aur Aap Jo Bhi Log Ise Padhengey Aapko Padhke Accha Ya Bura Lag Sakta Hai But Sabka Nazariya Alag Alag Hota Hai, Agar Aapko Accha Lagey To Aap Samjhey Ki Aap Ki Soch Shayad Mujhse Milti Hai Aur Agar Aapko Bura Lagey To Aap Samjhein Ki Shayad Aapka Nazariya Alag Hai, Har Cheez Ek Jaisi Nahi Hoti, Hope You Understand Guys...❤️